haq ali maula ali

ali imaan man asto man um ghulam e ali
hazaar jaan e girami fiza e naam e ali

haidari um qalandar um mast um
banda e murtaza ali hast um
peshwa e tamaam rindan um
ke sage ku e sher e yazdum

kabhi deewar hilti hai kabhi dar kaamp jaata hai
ali ka naam sun kar ab bhi khaibar kaamp jaata hai

shaah e mardaan e ali, haq ali maula ali

pathar mein alam din ka gara kisne
lalkaar ke marhab ko pachchara kisne

jap le jap le re manwa
yahi naam sachcha hai pyare
yahi naam tere sabs ko taare
issi naam ki farqat ne diye
saaz e haqiqat khol tu bhi keh
ali ali maula

shaah e mardaan e ali
lafataail yan ali
sher a yazdaan ali
ali haq ali ali ali maula ali ali

tann par ali ali ho zubaan par ali ali
mar jaaun to kafan par bhi likhna ali ali

ahle nazar ki ankh ka taara ali ali
ahle wafa ke dil ka sahaara ali ali

rasool e ghaus ka meri taraf salaam aaya
meri zubaan par aaya jo kya ali ali


Comments

  1. Bab e Qaibar shikan Ali maula.

    Mere man ki lagan Ali maula .

    Kab idhar se uddar se milta hai Faiz unn li gali se mita hai.

    Maine jabhi unne pukara hai ek sada aayi tu hamara.


    Admin plzz add this points in this Qawali.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil