qurban main unki bakhshish ke

qurban main unki bakhshish ke
maksad bhi zuban par aaya nahi
bin mange diya aur itna diya
daaman mein hamaare samaaya nahi

be bandagi ko ooch kiya banda kar diya
taara mere naseeb ka tabinda kar diya
itni badi huzoor ki banda nawaaziyan
mujhko mere sawaal ne sharminda kar diya

unki jab shaan e kareemi pe nazar jaati hai
zindagi kitna marahal se guzar jaati hai
betalab mujhko diye jaata hai dene wala
haath uthte nahi neeyat meri bhar jaati hai

kisi ko kabhi dar se khali na taala
tawakko se badh kar ata karne wala
bhikhari anokhe hain daata niraala

kaun hai jo bipta ko taale unse mangein mangne waale
saare jag mein goonj rahi hai unki jai jaikaar

unka ka to shairaaz kareemi hai
maail wo karam hi rehte hain
jab yaad kiya aye salle allah
wo aa hi gaye tadpaaya nahi

wo rehmat kaisi rehmat hai
mafhoom samjh lo rehmat ka
usko bhi gale se lagaaya hai
jise apna kisi ne banaya nahi

imaan mila unke sadke
quran mila unke sadke
rehmaan mila unke sadke
woh kya hai jo hamne paaya nahi

main aap kahun rakh lije bharam
lillah karam lillah karam
taawan e amal mein neki ka
sarkar koi sarmaaya nahi

us mohsin e azam ke yun toh
khalid pe hazaron ehsaan hain
qurban main aise ehsaan ke
ehsaan kiya toh jataaya nahi


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil