jhoom raha hai chishti gulshan rang fareedi chaaye hain

mushtaqaan e ishq ke sartaaj hain ganj e shakar
intiqa e zohad ki mairaaj hain ganj e shakar

aashna e ramz e ibaadat paikar e khulk e azeem
benawaon bekason ki laaj hain ganj e shakar

inaayat hai ye sab ganj e shakar ki
ghulami mil gayi baba ke dar ki

ajab andaaz hai inki nazar ka
wo saabir bann gaya jispe nazar ki

jhoom raha hai chishti gulshan rang fareedi chaaye hai
ajmer se kaliyar se lahore se
waah kis shaan se iske mehmaan chale aate hain

maloom ho raha hai baba ke aastaan par
mehsoos kar rahe hain aasmaan par

jhoom raha hai chishti gulshan rang fareedi chaaye hain
shah e madina ganj e shakar ko dulha banane aaye hain

aao fakeeron jholiyan bhar lo
aao deewanon muraadein apni apni maang lo
khul gaya daata ka dar sadke lutaane ke liye

aao fakeeron jholiyan bhar lo saamne hai darbaar e karam
khwaja piya ji ganj e shakar ka sadka lutaane aaye hain

jholiyan har sawaali ki bhar jaayengi
dar khula hai khwaja ka ata ke liye

har phool khushi ka aise mein iss chaukhat pe khil jaayega
tum maang ke dekho khwaja se jo mangoge mil jaayega

sanjar ho ya kaliyar baba dehli ho ya paak pattan
hamne jahaan bhi haath pasaara tere sadke paaye hain

ham kya jaane dair o haram ko ham thehre deewane log
ham toh baba iss chaukhat par sajde lutaane aaye hain

uski jholi bhar jaati hai jo bhi daaman phailaaye
khwaja qutab ke laal ne dekho kaise faiz lutaaye hain

ham par bhi ya dilbar khwaja ho jaaye rehmat ki nazar
tere karam ne mohtaajon ke soye bhaag jagaaye hain

kyun na fana qurbaan ho tum par tu khwaja ki nisbat hai
ganj e shakar har jaanib tune chishti rang rachaaye hain

Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha