dil pe zakhm khaate hain

dil pe zakhm khaate hain jaan se guzarte hain
jurm sirf itna hai unko pyar karte hain

aitbaar badhta hai aur bhi muhabbat ka
jab wo ajnabi bankar pass se guzarte hain

unki anjuman bhi hai daar bhi rassan bhi hai
dekhna hai deewaane ab kahan theharte hain

unke ik taghaful se toot te hain dil kitne
unki ik tawajjoh se kitne zakhm bharte hain

jo pale hain zulmat mein kya sahar ko pehchaanein
teergi ki shaidayi roshni se darte hain

lakh wo gurezan hon lakh wo dusman e jaan hon
dil ko kya karein 'Sahib' ham unhi pe marte hain

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil