dil jis se zinda hai wo tamanna tum hi to ho

dil jis se zinda hai wo tamanna tum hi to ho
hum jis mein bas rahe hain wo duniya tum hi to ho

hai tumhara hi noor har shai mein
zarre zarre mein ja baja tum ho

bethikanon ka thikana ho
natamanon ka ik asa tum ho

ya habibi marhaba ya noor abi marhaba
ya dil hussaini marhaba ya mustafa ya mujtaba

ya imam ul kibla tain ya nabi ul hara main
aap hain ankh ki thandak aap hain har dil ka chain

teri zulf gar shab e katl hai tera chehra badr e muneer hai
tere sadke jaun aye nabi  tu habeeb e rab e kadeer hai

teri shakl sura e noor hai tera husn jalwa e toor hai
teri deed ain saroor hai teri misl hai na nazeer hai

aam hai rehmatein zamane par
rehmaton ka koi hisab nahi
tere qurban aye rasool allah
tera konain mein jawaab nahi

doobton ko tarana waale ho
besahaaron ka aasra tum ho

jo dastgeer hain wo tumhara hi haath hain
jo doobne na de wo sahara tum hi toh ho

mujh purkhata ki laaj tumhare hi haath hai
mujh nange do jahaan ka waseela tum hi to ho

Comments

  1. can someone please provide meaning/translation of dil jisse zinda hia...entire poem please

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha