bazm e konain saji mere shah tere baad

mustaq e aftaab e jamaal e muhammadin
ma banda e muhammad o aal e muhammadin
ma raaz e hast ya e ghulami e mustafa
ma kam kareem ghulam bilal e muhammadin

sana e ahmad e aali makaar hone do
wuzu e rehmat e parwardigar hone do
mujhe na roko zameen waalon aasmaan walon
muhammad e arabi pe nisar hone do

wo chehra jisne nazaron ki aabroo rakh li
wo zulf jisne bahaaron ki aabroo rakh li
ba roz e hashar mere mustafa ki rehmat ne
sabhi gunah ke maaron ki aabroo rakh li

tera jahaan khuda ka jahaan nazar aaya
tera makaan khuda ka makaan nazar aaya
tere wajood se takreer e qayanaat hui
tere nishan se khuda ka nishan nazar aaya

bazm e konain saji mere shah tere baad
takhleeq e do alam ka sabab daaz hai teri aaka

na abad ka zikr hota na abad ki baat hoti
na tera jamaal hota na ye qayanaat hoti

yahaan tha waadi e purkhaar tum bin
bada soona tha ye sansaar tum bin

bazm e konain saji mere shah tere baad
noor saare hain banein noor e khuda tere baad

qayanaat tumse jagmagayi hai
zarre zarre ne taab paayi hai
har taraf noor jalwagar tera
roshan is noor se khudayi hai

tu sarapa noor tera sab gharana noor ka
teri nasl e paak mein hai bacha bacha noor ka

tere tasveer banayi to kalam tod diya
jisse teri tasveer banayi thi khuda ne
ik tujhko bana ke kalam tod diya hai

aatbe takdeer khud hairaan hai is tehreer par
khud musavvir hi data bana tasveer par

jis bhi fankaar ka shahkar ho tum
usne sadiyon tumhe socha hoga

tujhko dekha to tera naaz e karam yaad aaya
tujhko dekha to musavvir ka kalam yaad aaya

tujhsa haseen hai na teri misaal hai
tera jamaal ain khuda ka jamaal hai

tere tasveer banayi to kalam tod diya
tujhsa phir kisko kahoon tere siva tere baad

hue hain hazrat e yusuf haseen zamaane mein
magar unhe bhi tere husn ki zakaat mili

aisa tujhe khalik ne taradaar banaya
yusuf ko tera taalib e deedar banaya
konain banaye gaye sarkaar ki khaatir
konain ki khaatir tumhein sarkaar banaya

aye shehanshah e karam tere karam ke sadke
kaun bhar sakta hai hamari sada tere baad

kaun hai jisko ye naaz mila tere baad
na hua koi bhi mehboob e khuda tere baad


Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha